Logo
Dulhan (Hindi)

Dulhan (Hindi)

Manish Poddar
245 250 (2% off)
ISBN 13
Barcode icon
9789380223391
Year
Year icon
2018
Ye novel women harassment par based hai jisme maine women harassment ke main points ko batane ki kosis ki hai. Jo ek love story se suru hoti hai. Jab hum mahilaoo ke bare me baat karte hai aur hum sex ke upar baat nahi karte hai to women problems ke bare me baat karna ek majak hai. Jo hum saalo se karte aa rahe hai. Kyuki 90% of women problems sex se hi jura hota hai aur hum uske upar baat hi nahi karna chahte hai. duniya me har chij ko lekar bare – bare movement huye. Lekin koi bhi women's movement bare level par nahi huaa. Eske pichhe kya reason hai. kuchh esi tarah ke sawalo ko dhundhne ki kosis maine es kitaab me ki hai. aur kuchh beautiful ideas bhi diya hai. Jab baat women ki aati hai to Buddha jaise mahapurso ko bhi kyu sochna par jata hai. Aur mai es novel ke sath aapko ek naya experience de raha hu ki aapke suwidha ke liye maine ese roman script me likhi hai. So ek baar ise padhe aur es naye experience ka aanand le.